Saturday, December 21, 2013

Meri Kitabe


Har jagah mein dekhoon, main paaoon kitabe,
Bachpan mein bada padhta tha-
Kabhi raat bhar chaddar ke neechey, ya kabhi potty karte
Har jagah main padhta aur padhta hi rehta meri pyaari kitabe!

Waqt ka koi ata pata na hota,
Bas kitabon ke inn panno ke beech aise hi waqt guzar jata
Naye dost bane, kuch naye rishte bhi
Malgudi ke galiyon mein khela, Rusty ke saath Dilli ke small screen theatre mein picturen dekhi
Inhi panno ke beech mera pura bachpan guzar dala!

Ab ek arsa ho gaya, duniya choti hone lagi aur mein bada ho gaya,
Dost badalne lage aur kitabon ki dosti purani lagne lagi.
Per unhone kabhi saath na chhoda,
Bas naye doston ke liye thodi jagah de di.

Taakte hai meri kitabe band almariyon ke peechey ya kabhi bistar ke neechey se,
Mahine ab hamari mulakat na hoti
Jin kitabon ko mein padhne ke liye besabri se intezaar karta
Ab woh mere wapasi ka intezaar karti.

------------------------------------------------------------------------------------------------------------